Jadui Laathi Aur Mohan Ki Kahani Part - 1

Image
Kisi gaw mein ek aadmi rehta thaa jiska naam Mohan thaa.Woh apni dincharya ache se guzar raha thaa tabhi,ek din uske dost ne ek samachar diya ki tumhe tumhare bua ke ghar se nimantaran mila hai aur tumhe kal unke ghar jana hai.Mohan ko toh ab jana hi thaa isliye sare jaruri saman potli mein band kar nikal gaya.   Woh subah-subah buya ke ghar ke liye nikal gaya kyuki uske bua ka ghar jane ke liye ek bahut bada jungle paar karna hota thaa.Jab woh raaste par jaa raha thaa toh usko ek sunsaan jagah par ek aadmi dikha jo jameen par leta thaa aur bahut hi gandagi se bhara thaa.Mohan ne uss bekti ko uthaya aur unse pucha ki aap yaha kya kar rahe hai toh uss bekti ne mohan se kaha ki kuch khaana hai toh de do kyuki bahut bhukh lagi hai. Mohan ki potli mein kuch khaana thaa toh usne woh khaana uss bekti ko de diya.Uss bekti ne khaana khaa liya aur mohan ko bahut-bahut dhanyabaad kaha aur mohan ko ek laathi diya aur kaha yeh laathi tumhe har musibat se bachayega.Mohan ne woh laathi khushi

Chudail Ne Mujhe Bahut Hi Buri Tarah Daraya

Mera name Rajesh Singh hai aur mein Jharkhand State ke jamshedpur city ka rehne wala hu.Mein ek bahut hi darawni ghatna batayunga,jisko sun kar aap dar toh jayenge hi par story ko padh kar aapko aur bhi jyada maza ayga.

 Chudail Ne Mujhe Bahut Hi Buri Tarah Daraya

Yeh ghatna jab mere sath ghati tab mein 16 saal ka thaa aur 10th mein padta thaa.Abhi jamshedpur jitna develop hai pehle toh utna thaa nahi sabhi jagah andhera thaa aur toh aur itne sunsaan jagah thee ki akele aane mein bhi dar lag jaye.Yaha tak ki pure jamshedpur par sahi tarah ki bijli ki bebastha tak nahi thi.Toh mein story par aata hu.Mein jis samay ki baat kar raha thaa uss samay toh Bike hote nahi thee,Papa ko bahut binti karne ke baad ek cycle mila,jisse mujhe bahut hi khushi huyi.Mera daily ka tution saam ke 6-8 tak hota thaa.Mein jate time paidal chala jata thaa aur aate waqt papake cycle mein aat thaa.Mera tution bahut dur bhi thaa.Ab mera paas khud ka cycle thaa toh mein khud chala jata aur cycle se ghar aa jata.

Ek saam ki baat hai Thand ka samay thaa aur mein tution se ghar ah raha thaa apne cycle mein.Toh ek sunsaan sadak pada jaha par bahut saare lambe-lambe ped thee waha se mein guzar raha thaa toh mujhe bahut hi azeeb se laga ki mere piche koi bahut hi tez daur raha hai,woh bhi mere cycle ki gati se mene thoda piche mud kar dekha toh ek aurat thee lambe baalo wali aur mera taraf ah rahi thee toh yeh nazara dekh mein toh pura tarah dar gaya.Dar ke mare mere hath-per kaanpne lage,mene bahut hi himmat juta kar cycle ko puri raftar se chalaya.Mein itni thand mein bhi paseene se lathpath ho gaya thaa.Fir achanaka se wo aurat mere aage se paar ho gayi aur mere aage aakar ruk gai.Mein toh bahut hi buri tarah ghabra gaya aur Bhagwan ka name lene laga,Tabhi samne se ek cycle wala ah raha thaa,toh woh nazara dekh kar mere andar himmat aayi aur jor se chillaya eh cycle jaldi aao idhar.Tabhi woh cycle wala mere paas aaya toh mene dekha ki woh cycle wala mere papa thee.Mein unko dekh itna khush huya ki mein aap sab ko keh kar byaan nahi kar sakta.Jaise hi mere papa mere samne pahuche tabhi woh aurat gayab ho gayi hai.Mein jaldi se papa ke sath ghar pahuch gaya.

You May Also Like

> Girl Hostel Mein Mari Huyi Ladki Ka Saayaa

> Raat Ke Andhere Mein Huya Kubdi Huyi Budhi Aurat Ki Aatma Se Saamna

> Nadi Kinaare Darawni Chudail Se Huya Pinki Ka Saamna

Mene ghar pahuchte hi mammi aur papa ko yeh baat batayi.Tabhi mammi ne kaha ki mene uss aatma ko dekha ki woh tumhe paresaan kar rahi hai.Isliye mammi ne papa ko mere ko lane ke liye kaha aur papa mujhe laane chale gaye.Yeh thee meri ek choti si darawni ghatna,aasha karta hu aapko pasand aayi hogi.Mein aap sabko bahut hi jald ek aur darawni kahani batayunga jo mere sath ghati thee,toh tab tak ke liye aap sabko byee.

Agar aapko story pasand aaye toh share kare aur aapko story kaisi lagi comment mein bataye.
 

Comments

Popular posts from this blog

Jadui Laathi Aur Mohan Ki Kahani Part - 1

Pandit Aur Sone Ki Mudra Barsane Wali Jadui Shankh Ki Kahani

Nadi Ke Paas Wale Jungle Mein Bhoot Ka Aatank