Mera name Bablu Sinha hai aur mera umra 35 hai.Aaj jo mein ghatna batane wala hu wo mere wife ke sath ghati ek ghatna hai.Mera wife ka name Sunita Sinha hai.Uski umra 30 hai.Uske sath ek bahut hi
darawni ghatna ghati tab mene uss ghatna ko apne ankh se dekha.
Yeh ghatna aaj se 5 saal pehle ghati tab humari new-new shaadi huyi thi aur hum dono ghumne Keral gaye thee aur waha par humne bahut maje kiye.Uuhi kuch 4th din ache se bitt gaye aur 5th day ko mein aur sunita market par ghum rahi thee toh sunita ek lady se jaa takrayi yaani uska peir kisi pathar se takraya aur wo uss lady se jaa takrayi.Itne mein wo lady bahut hi apsabd use karne lagi.Meri sunita ne maafi bhi mangi but wo lady suni nahi aur apsabd kahe jaa rahi thi toh itne mein sunita bhi pure form mein akar sunane lagi uss lady ko.Baat yahi nahi ruki lady ne toh itna tak keh diya raat ko tujhi dekh lungi.Sunita ne kaha jaa-jaa badi aayi mein tujhe bhi dekh lunga.Mene sunita ko jaise-taise waha se le gaya aur hum ek temple par jaa pahuche toh sunita mandir pe bhagwaan ke darshan kar rahi thee.Waha par ek sadhu maharaj thee toh unhone mujhe bulaya aur kaha ki aaj raat tumhari patni ke sath
bhyanaak ghatna ghategi tum yeh
bhabhut le jao aur yeh bhabhut tum tab hi lagana tumhari patni ko tab laga dena aur kaha ki kal iss mandir par ek baar mujhse milna.
Mujhe unki baat par yakeen nahi huya but mujhe bhi laga ki sayad uss lady se jhagda huya hai uss lady ne kuch kar diya toh aur fir mein apne wife ke paas gaya aur ghar ah gaya.Mene woh
bhabhut bahut hi sambhal ke rakha aur sadhu maharaj ki baat meri wife ko nahi bataya.Humne khaana khaya aur so gaye.Raat ke 3baje sunita bahut hi
darawni awaaj mein chillane lagi aur paglo ki tarah harkat karne lagi.Mein tabhi uth gaya.usne yaha tak ki ek table ko haath mein uthakar fek diya.Tabhi mene
sadhu maharaj ki woh bhabhut mere wife ke sir pe bahut muskil se laga diya aur woh thik ho gayi par bahut hi jyada uski saas fool rahi thee.Fir woh so gyi aur mein bhi so gaya.
Next day uss
sadhu maharaj ke paas pahucha aur usne mujhe aur sunita ko kaha ki kal wali lady jiske sath tumhara jhagda huya thaa usne bahut hi pahuche huye
ojha se yeh kaam karwaya aur usne sunita ko ek paththar diya jo ki choti si thii aur sunita ko 7 days tak pehan ko rakhne kaha aur hum waha se ah gaye.Fir 7days baad woh paththar sunita ne utar diya.Ab humhari life khusi se bitt rahi hai aur ab humare 2 bache bhi bade ho gaye hai.
Agar apko kahani pasand aayi ho toh share kare aur aapko story pasand aayi toh share jarur kare.
Comments
Post a Comment