Hello Friends,Mera name Sanjay Singh hai aur mera umra 30 saal hai.Mein kabhi bhi
bhoot-pret par biswas nahi karta.Par mere life mein ek
bhayaanak ghatna ghati jiska mene dat kar saam bhi kiya.Mein uss ghatna se
bhoot-pret par biswas karta hu,par darta toh bilkul nahi.
Yeh ghatna mere sath 8 saal pehle ghata thaa,tab mera umra 22 saal ka thaa aur mein Graduation kar raha thaa.Jab mein college ki padhai kar raha thaa tab mera aur college ke ladke ke sath fight huya.Ab college mein yeh sab hota hi rehta hai toh,Mene bhi 2 boys ko akele maara aur unhone bhi mujhe maara yaani fight equal thee.Usdin mera mood itna kharab thaa ki man toh ho raha thaa ki jo bhi samne aayu sabko pit dunga.Toh mein ghar aah raha thaa raste mein toh ek rasta aisa aaya jaha bahut hi sunsaan thaa aur time saam ke 7pm ho rahe thee tabhi mujhe laga ki kisine mere kandhe par haath rakha hai.Tabhi mene piche mud kar dekha waha koi nahi thaa.Mere sath 5 times aisa hi huya fir se ek baar mere kandhe par kisine haath rakha,mene usi waqt uska hath pakda aur jor se uthakar aage fek diya.Jaise hi mene usko feka toh jameen par usko fekne ka awaaz toh aaya par dikha nahi.Tabhi mujhe laga koi
shaitaani-shakti hai jo mujhe paresaan kar rahi hai.Mujhe gussa toh aaya itna ki jo bhi hai aaj uski
bhayaanak dhulai kar du.Mene chilla kar kaha ki jo bhi saamne ah jaa fir tujhko maja dikhata hu.
You May Also Like> Nadi Ke Paas Wale Jungle Mein Bhoot Ka Aatank> Train Mein Huyi Mari Huyi Ladki Se Mulakaat> Kunwari Ladkiyo Ko Bash Mein Karne Wala SaitaanKoi toh saamne aaya nahi aur mein ghar pahuchne hi wala thaa ki tabhi 2 bahut hi lambe aadmi dikhe jo thode se langda rahe thee,unhone mera raasta roka aur mujhe bahut hi jor se ek jhaapad laga diya.Mera dimaag satak gaya aur mene unn dono ki kutai toh bahut ki par unhone bhi mujhe maara aur keh kar gaye ki mujhe chodenge nahi.Achanak wo aadmi gayab ho gaye.Mein ghar pahucha aur yeh baat sirf papa ko bataya tabhi papa ne mujhse kaha ki mere sath kal subah tumko jana hoga.Next subah mein kisi jyotish paas gaya aur usne bataya ki kal tumhara saamna
2 aatma se huya aur tumne bahut hi dat kar saamna kiya.Jyotish ne yeh bhi bataya ki Sanjay tum apna gussa control rakho aur tum bahut bahadur ladke ho,unn
aatmayo se tumhara saamna huya woh tumhare mukke ka swaad chak chuke hai aur tumhe paresaan karne ka himmat nahi hai unke paas.Tab se aaj tak mera
bhoot-pret se saamna toh nahi huya par mene apna gussa bahut control kar liya hu.
Agar aapko story pasand aaye toh share kare aur aapko story kaisi lagi comment mein bataye.
Comments
Post a Comment