Jadui Laathi Aur Mohan Ki Kahani Part - 1

Image
Kisi gaw mein ek aadmi rehta thaa jiska naam Mohan thaa.Woh apni dincharya ache se guzar raha thaa tabhi,ek din uske dost ne ek samachar diya ki tumhe tumhare bua ke ghar se nimantaran mila hai aur tumhe kal unke ghar jana hai.Mohan ko toh ab jana hi thaa isliye sare jaruri saman potli mein band kar nikal gaya.   Woh subah-subah buya ke ghar ke liye nikal gaya kyuki uske bua ka ghar jane ke liye ek bahut bada jungle paar karna hota thaa.Jab woh raaste par jaa raha thaa toh usko ek sunsaan jagah par ek aadmi dikha jo jameen par leta thaa aur bahut hi gandagi se bhara thaa.Mohan ne uss bekti ko uthaya aur unse pucha ki aap yaha kya kar rahe hai toh uss bekti ne mohan se kaha ki kuch khaana hai toh de do kyuki bahut bhukh lagi hai. Mohan ki potli mein kuch khaana thaa toh usne woh khaana uss bekti ko de diya.Uss bekti ne khaana khaa liya aur mohan ko bahut-bahut dhanyabaad kaha aur mohan ko ek laathi diya aur kaha yeh laathi tumhe har musibat se bachayega.Mohan ne woh laathi khushi

Bike Par Mene 2 Aatmaayo Ko Bethaya

Mera name Pintu Yadav hai aur mera umra 35 saal hai.Mein bihar ke ek gaw ka rehne wala hu.Mein aap sabko ek ghatna batayunga,jisme mera saamna darawni aatmayo se huya.Mujhe bhoot-pret par biswas hai aur mene kayi baar unko dekha bhi hai,jinme se mein ek ghatna ke baare mein batayunga.

 Bike Par Mene 2 Aatmaayo Ko Bethaya

Yeh ghatna 2 saal pehle ki hai.Mein kisi kaam ke liye City gaya thaa aur mein apni bike se gaya thaa.Mera city ka kaam khatam hote-hote raat ke 8 baj gaye waha se mera ghar aane mein 3 hours lagte hai.Mein jald hi waha se ghar ke liye nikal gaya.Bike chalate-chalate 2 hours toh ho hi gaye thee ki tabhi ek jagah par ek choti si bachi meri bike ko rukaya.Meine uss bachi se kaha kya baat hai muniya itni raat ko iss sunsaan jagah par,tumhare maata-pita kaha hai.Tabhi usne apne haath ko uthakar uski maa ko dikhaya.Jo ki mere right side par thee.Mene uss lady ko dekha toh woh ghungat odi thee,jisse uska face ek dam dhaka thaa aur woh saadi pehni thee,usne apna haath aage ki taraf kiya,toh mein samajh gaya ki unko waha jana hai.

Mene unn dono ko apne bike ke piche bethaya aur bike start karke chalne laga.Kareeb 30 minute huye thee ki tabhi mene Bike ke side mirror par dekha ki woh lady ka face ek daam kaala thaa aur daath sab bahar nikle thee aur wo ladki ka haath bhi pura kaala thaa,jaise woh dono aag par jhulse thee.Mein eh sab nazara dekh bahut dar gaya kyuki jab mene unn dono ko dekha thaa toh dono achi tarah hi dikh rahe thee.

You May Also Like

> Keral Mein Wife Ke Sath Biti Bhayaanak Ghatna

> Jungle Mein Huya Kaala Saaya Se Mulakaat

> Sadak Par Bhatakti Aatma Se Mulakaat

Tabhi mere dimaag mein ek idea ki bhoot-ptet toh aag se darte hai.Mere shirt ke upar wale poket par bidhi thee aur mene bike chalate-chalate bidhi mooh mein le liya aur usko apne lighter se jala bhi laya.Tabhi mene side mirror par dekha ki woh dono aatmaye jo mere bike ke piche bethi thee gayab ho chuki hai aur thodi duri par mere bike ke saamne aah chuki thee.Woh mujhe darane ki koshish kar rahi thee.Mein ruka toh nahi apni bike ko cut maar ke udhar se nikla aur ghar pahuch gaya tabhi raat ke 11 baj chuke thee.

Agar aapko story pasand aaye toh comment kare aur aapko story kaisi lagi comment mein bataye.

Comments

Popular posts from this blog

Jadui Laathi Aur Mohan Ki Kahani Part - 1

Pandit Aur Sone Ki Mudra Barsane Wali Jadui Shankh Ki Kahani

Nadi Ke Paas Wale Jungle Mein Bhoot Ka Aatank