Ek gaw mein din-pratidin chori ho rahi thee,toh ek madan name ka aadmi waha se guzar raha thaa,tabhi waha se kuch log chori karke nikal rahe thee aur unke piche rajayo ke sainik unn choro ko pakadne ke liye bhaag rahe thee.Woh chor toh bhaag gaya par badkismati se sainoko ne uss madan name ke bekti ko pakad liya aur usko chor samajhkar rajayo ke paas le gaya.
Jab rajayo ke samne madan ne apni safai di aur kaha ki mein chor nahi hu,tab raja ne uss madan ki ek naa suni aur wo sainik bhi jhoot kehne lage ki haa yeh bekti hi chor hai aur sainik log lalach mein aakar madan ko doshi keh rahe thee,unn chor ko pakadne par 1000 swarna mudrayo ka inaam thaa.Dono sainik jisne madan ko pakdaya wo man hi man muskaye aur idhar madan kehta raha ki mein chor nahi hu par raja ne ek naa suni aur madan ko suli par chada kar sar ko dhar se alag kar diya aur madan ki jaan tadap-tadap kar nikal gaya.
Kuch dino baad madan ki
aatma gaw-gaw me bhatakne lagi,waha se dopahar ke waqtvrajayo ke kuch sainik guzar rahe thee toh madan ki aatma ne unn sainiko ko buri tarah daraya aur unn dono ko kaha ki raja ko jaa kar keh do ki madan tumhe chodega ni.Woh sainik bhaage-bhaage raja ko madan ki baat ko bataya.Raja inn bato se bahut paresaan thaa,tabhi usne apne mantri ko iss ghatna ke bare mein bataya aur woh mantri bahut hi
budhimaan thaa.Uss mantri ne raja se pucha ki aapke paas koi sabut thaa kya apne madan ko suli par chara diya,Raja iss baat se chup ho gaya kyuki raja bina wajah madan ko suli par chada diya.
Tabhi uss mantri ne raja se kaha ki aap chinta na kare mein sab sambhal lunga.Mantri madan ki
aatma ke paas gaya aur usko raja ki galti ke liye maafi bhi manga,par madan toh raja ko bhi suli par chadana chahta thaa.Madan ne kaha ki mujhe gaw ke logo ko paresaan nahi karna,mein toh sirf raja aur unn sainiko ko suli par chadayunga jisne mujhe suli par chadaya thaa.Tabhi mantri ka dimaag daura aur mantri ne kaha ki agar raja ko tum suli par chada doge toh gaw ke log bhuke mar jayenge,dusre raja bhi hamare rajya par akraman kar denge.Mantri ne kaha ki galti toh raja ki bhi nahi hai,yeh galti unn dono sainoko ki hai jisne tumhe suli par chadaya.Madan bhi maan gaya aur madan ne unn dono sainoko ko suli par chadane ki maang ki aur dusre din raja ne unn dono sainoko ko bhi suli par chara diya.Madan ki
aatma ko ab mukti mil gayi.Raja ne ab chain ki saans li aur mantri ko bhut hi dhanyabaad diya aur bhet swaroop 2000 swarna mudraye upahar swaroop use de diya.
Comments
Post a Comment